kya hui mujh se khata malum kar kyon mili hai ye saza malum kar ho raha hai zikr us ka har kahin kya shagufa hai naya malum kar sar-kashi ki hai hamein aadat bahut tu hawaon ki disha malum kar chaak dil hai kanpte lab aankh nam maraz mere ki shifa malum kar ruk gae be-sakhta mere qadam ye achanak kya hua malum kar nim-shab aawaz aati hai mujhe kaun deta hai sada malum kar chand hi mahrumiyon se thak gae ek muflis ki dasha malum kar