bhanwar mein mashware pani se leta hun main har mushkil ko aasani se leta hun jahan danai deti hai koi mauqa wahan main kaam nadani se leta hun wo mansube hain kuchh aabaad hone ke main jin par rae virani se leta hun ab apne aablon ki ghatiyon se bhi samundar dekh aasani se leta hun nahin leta magar lene pe aaun to main badla aag ka pani se leta hun nazar-andaz kar deti hai jab duniya janam khud apni hairani se leta hun jahan mushkil mein pad jate hain gird-o-pesh wahan main sans aasani se leta hun lagata hai meri binai par tohmat main fatwe jis ki uryani se leta hun