kash main tujh ko koi sham suhani deta apni nakaam mohabbat ki nishani deta meri aankhon se lahu ne bhi tapak padna tha apne ashkon ko agar aur rawani deta tere ek baal ka sadqa bhi nahin tha jaanan tujh pe gar war main apni ye jawani deta daman-e-dil mein duaon ke siwa kuchh bhi na tha phir bhala kaise koi chiz nishani deta sukhi tahni bhi hari honi thi ek roz 'khalil' tu agar roz use ashkon ka pani deta