bhanwar mein tu hi faqat mera aasra to nahin tu nakhuda hi sahi par mera khuda to nahin ek aur mujh ko meri tarz ka mila hai yahan so ab ye sochta hun main wo dusra to nahin abhi bhi chalta hai saya jo sath sath mere bata ai waqt kabhi main shajar raha to nahin hain gahri jad se shajar ki bulandiyan mashrut so pastiyan ye kahin mera irtiqa to nahin jo pas ye mere be-khauf chale aate hain mere badan pe parindon ka ghonsla to nahin ai aaine tu zara dekh ghaur se meri aankh gire hain ashk koi khwab bhi gira to nahin