kuchh bhulne ke jaise alawa bhula diya

kuchh bhulne ke jaise alawa bhula diya
aapas mein mil ke raston ne rasta bhula diya

qissa sunaya budhe ne apne zamane ka
qissa suna ke sab ko zamana bhula diya

jate hue bhi jit liya us ne haara ishq
roya wo is qadar mujhe rona bhula diya

itna ajib husn tha us husn-e-naz ka
aankhon ko dekhne ka tariqa bhula diya

tab se khata bhi lagti nahin hai khata mujhe
dar khauf jab se main ne saza ka bhula diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close