bhanwar se bach ke wo sahil ke pas dub gaya jahan ka dekh ke khauf-o-hiras dub gaya ajab se khauf mein lipta hai ganw ka panghat suna hai phir se koi dewdas dub gaya mujhe sharab hi itni mili thi duniya se ki mare sharm ke mera gilas dub gaya gawara ho na saka us ko bahr ka ehsan labon pe le ke qayamat ki pyas dub gaya kahun to kis se kahun apne dil ki taklifen mere hi gham mein mera gham-shanas dub gaya hua jo samna suraj ka mere zakhmon se falak pe chhod ke apna libas dub gaya 'nadim' apne ghamon se nikal chuka tha magar gham-e-jahan se ho kar udas dub gaya