muddaa girya se kuchh ishq ka izhaar nahin kya kahun tum se ki kahne mein dil-e-zar nahin is mein kya zillat-e-yusuf sar-e-bazar nahin samne tere koi us ka kharidar nahin ho gaya aaj se bas ilm-e-qiyafa baatil sadgi se ye khula tha ki sitamgar nahin sab tarah se to wo achchhe hain par achchhe kya hain ek yahi aib hai kaisa ki wafadar nahin talab-e-bosa-e-rukhsar ko jaane dije kaun si baat hai jis mein tumhein inkar nahin yan ye manzur ki matlab ko zaban par laen wan hai angusht labon par ki khabar-dar nahin puchhte puchhte aa jao mere ghar ki taraf hai pata ye ki nishan-e-dar-o-diwar nahin mere rone pe wo hans hans ke ye kahna tera ki tunuk-zarf se chhupte kabhi asrar nahin koi pis jae ki kat jae bala se un ki kuchh khabar un ko kisi ki dam-e-raftar nahin tar-e-anfas hain sine ke numayan warna dekhne ko bhi gareban mein koi tar nahin sach to ye hai ki hai 'mushtaq' adu se achchha warna banda to kisi ka bhi taraf-dar nahin