bhar do jholi meri ya mohammad laut kar main na jaunga khali kuchh nawason ka sadqa ata ho dar pe aaya hun ban kar sawali haq se pai wo shan-e-karimi marhaba donon aalam ke wali us ki qismat ka chamka sitara jis pe nazar-e-karam tum ne dali zindagi bakhsh di bandagi ko aabru din-e-haq ki bacha li wo mohammad ka pyara nawasa jis ne sajde mein gardan kata li hashr mein un ko dekhenge jis dam ummati ye kahenge khushi se aa rahe hain wo dekho mohammad jin ke kandhe pe kamli hai kali aashiq-e-mustafa ki azan mein allah allah kitna asar tha arsh wale bhi sunte the jis ko kya azan thi azan-e-bilali kash 'purnam' dayar-e-nabi mein jite ji ho bulawa kisi din haal-e-gham mustafa ko sunaun tham kar un ke rauze ki jali