bhar pae jaan-e-zar teri dosti se hum jite rahe to ab na milenge kisi se hum hain qafile ke sath magar hai rawish juda milte hain sab se aur nahin milte kisi se hum zikr-e-sharab-e-nab pe waiz ukhad gaya bole the achchhi baat bhale aadmi se hum paband-e-dair ho ke bhi bhule nahin hain ghar masjid mein ja nikalte hain chori chhupi se hum duniya badal gai hai badal se gae hain kuchh apni khushi badal ke tumhaari khushi se hum jate kahan mila na phir apna pata kahin pahunche to the bhatak gae un ki gali se hum 'natiq' hami ko dil ne to kafir bana diya ab kya kahen ki haar gae bidati se hum