bhag ki manzil-e-qarar umr ki rahguzar nahin

bhag ki manzil-e-qarar umr ki rahguzar nahin
is mein farar ke siwa aur koi mafar nahin

hai to bala-e-zindagi rasm-e-wafa magar nahin
baat ye hai ki khair se shar pe meri nazar nahin

shaikh jaza-e-kar-e-khair ye jo bata raha hai aaj
baat to khub hai magar aadmi mo'tabar nahin

bahr-e-husul-e-muddaa raat din ek kijiye
rah-e-talab ke waste sham nahin sahar nahin

rahte hain dur dur hum rasm-o-riwaj-e-zist se
chalte hain jis pe aam log apni wo rahguzar nahin

chhod bhi dete mohtasib hum to ye shaghl-e-mai-kashi
zid ka sawal hai to phir ja isi baat par nahin

kaun hai jo nahin shikar is mein khayal-e-kham ka
kya hai ye bazm-e-zindagi dam-e-fareb agar nahin

'natiq'-e-nim-jaan agar hai bhi to subh-o-sham ka
kal to kharab-haal tha aaj kuchh khabar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close