bhare hain us pari mein ab to yaro sar-ba-sar moti gale mein kan mein nath mein jidhar dekho udhar moti koi bundon se mil kar kan ke narmon mein hilta hai ye kuchh lazzat hai jab apna chhidate hain jigar moti wo hanste hain to khulta hai jawahir-khana-e-qudrat idhar lal aur udhar nilam idhar marjaan udhar moti falak par dekh kar tare bhi apna hosh khote hain pahan kar jis ghadi baithe hai wo rashk-e-qamar moti jo kahta ho are zalim tuk apna nam to batla to hans kar mujh se ye kahti hai wo jadu nazar moti wo dariya motiyon ka hum se rutha ho to phir yaro bhala kyunkar na barsa de hamari chashm-e-tar moti 'nazir' is rekhte ko sun wo hans kar yun lagi kahne agar hote to main deti tujhe ek thaal bhar moti