khub hathon-hath badla mil gaya bedad ka aashiyan mera jala ghar jal gaya sayyaad ka ye khulasa mukhtasar hai ishq ki rudad ka shauq hai un ko satane ka hamein fariyaad ka har giraftar-e-qafas qaidi hai be-miad ka chhod bhi deta hai ji chahe agar sayyaad ka wah mujh aise muqayyad ko laqab aanra ka maslahat sayyaad ki hai ya karam sayyaad ka ab kya karta hai matam bulbul-e-nashad ka dil larazta hai taqayya dekh kar sayyaad ka hashr us din dekhna har bani-e-be-dad ka jab zamin tanbe ki hogi aasman faulad ka kya meri fariyaad ka un par asar hota nahin jo unhen malum ho jata sabab fariyaad ka kahte hain be-qaida fariyaad hum sunte nahin phir batate bhi nahin wo qaeda fariyaad ka ek khud-bin ko hua jis waqt khud-bini ka shauq ban gaya mandan sare aalam-e-ijad ka kuchh meri fariyaad bhi un par asar karti nahin aur kuchh wo bhi asar lete nahin fariyaad ka aashiqi sar phod lene ke siwa kuchh bhi nahin hum to ye samjhe hain sun kar majra farhad ka dam ka kya zikr hai main banda-e-be-dam hun shamat aai phans gaya munh dekh kar sayyaad ka intizam-e-ab-o-dana hai na tanzim-e-qafas mujh se puchho bolta shahkar hun sayyaad ka nala-o-fariyaad bahr-e-aish ho jab ai safi' phir kahan tasir nale ki asar fariyaad ka