bhare-pure se makan mein bhi 'shah' tanha hai rida-e-shab ke kinare pe ek tara hai bas ek lamha tha hail tujhe bhulane mein ye kis maqam pe tera khayal aaya hai tamam gard hai chehra thaki thaki aankhen udasiyon ka ye baadal bahut ghanera hai shab-e-siyah mein hai teri hi yaad ka lapka nigah thokaren khati hai ghup andhera hai nazar ki rah mein be-manzari si phaila kar wo ek sitara sar-e-sham dub jata hai wo ek lamha-e-be-ikhtiyar jab main ne tujhe chhua tha meri ungliyon mein jalta hai us ek wahm ne zinda rakha kabhi meri nazar ka lams tujhe gudgudane wala hai khuda ko saunp ke rukhsat hua tha tu mujh se mujhe khuda hi ne ab tak sambhaal rakkha hai tu aaj samne aae to kaise pahchanun meri nazar mein to ab tak wahi sarapa hai