karo hum ko na sharminda badho aage kahin baba hamare pas aansu ke siwa kuchh bhi nahin baba katora hi nahin hai hath mein bas farq itna hai jahan baithe hue ho tum khade hum bhi wahin baba tumhaari hi tarah hum bhi rahe hain aaj tak pyase na jaane dudh ki nadiyan kidhar ho kar bahin baba safai thi sachchai thi pasine ki kamai thi hamare pas aisi hi kai kamiyan rahin baba hamari aabru ka hai sawal ab sab se mat kahna wo baaten hum ne jo tum se abhi khul kar kahin baba