bhare safar mein ghadi-bhar ka aashna na mila shadid pyas mein sahra sarab sa na mila guzar gae to hazaron nishan the pahle se palat ke aae to apna hi naqsh-e-pa na mila kabhi jo dhup to paikar pighal gae sare koi bhi naqsh mujhe mere khwab sa na mila ruke hue sabhi aansu chhalak gae lekin wo shakhs phir bhi nigahon se bolta na mila thahar gai thi mere pas chandni ki use tumhaare shahar mein koi bhi jagta na mila hawa ke sath hi aawaz laut aai hai khala mein phirti rahi koi ham-nawa na mila chala to meri nazar mein hazar rahen thin bhatak gaya to mujhe ghar ka rasta na mila