tumhaare sath ye jhute faqir rahte hain hamare sath to munkir-nakir rahte hain hamari kam-nazari se jo ho gae mahdud unhi mazaron mein raushan zamir rahte hain riwayaton ke tassur ka apna jadu hai kahin kahin meri ghazlon mein 'mir' rahte hain bahut udas hain diwaren unche mahlon ki ye wo khandar hain ki jin mein amir rahte hain har ek fasad zarurat hai ab siyasat ki har ek ghotale ke pichhe wazir rahte hain