bhari hai aag jebon mein kaf-e-afsos malte hain hamari hi kamai se hamare hath jalte hain mere atraf mein ye khincha-tani kam nahin hoti idhar pahlu badalta hun udhar jale badalte hain kisi ko bhi wo angara dikhai hi nahin deta ishaare se batata hun to apne hath jalte hain main apne jism se bahar hun ya ruhon ka maskan hai unhen main chhu nahin pata jo mere sath chalte hain hamare chaak par uqba kai shaklen badalti hai ye jannat aur jahannum to hamare sath chalte hain nazar-andaz karke sab guzar jate hain mujh mein se nafi karte hue mujh mein kai raste nikalte hain sada ban kar bahut takrae hain minar-o-gumbad se ab aankhen khul gai hain to andhere se nikalte hain