ab kisi taswir ki ranaiyan baaten karen main to chup hun ab meri tanhaiyan baaten karen itni diwaron mein ek diwar hi samjha mujhe aa ke mere sae mein parchhaiyan baaten karen rokna bhi narawa hai tokna bhi nagawar kan tab hote hain jab ruswaiyan baaten karen khud-kalami ka fusun tanhaiyon ki guftugu is se to behtar hai jab parchhaiyan baaten karen qafile ki to samaat aur zaban tak lut gai hindison ke dasht mein purwaiyan baaten karen ye dar-o-diwar ye chhat jo kabhi girti nahin mere uthne tak yahi pahnaiyan baaten karen