bharne ko jo daman koi phulon se chala ho

bharne ko jo daman koi phulon se chala ho
kya jaaniye us shakhs ka kya haal hua ho

tute hue kuchh khwab the paiwasta-e-taqdir
kirdar mein un ka koi reza na chubha ho

aisa bhi hua hai kabhi is dahr mein la kar
insan ki qismat ko khuda bhul gaya ho

jis aankh ne is haal ko pahunchaya ho kya khub
ye haal usi aankh se dekha na gaya ho

kis tarah phir aamadgi-e-qalb se maliye
dukhte hue ehsas ka jab zakhm hara ho

be-rabti-e-anfas ke dauran teri yaad
yun jaise masiha koi raste mein mila ho

ek bar 'nasim' aisi koi kijiye khwahish
jo shauq ke na-karda gunahon ki saza ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close