teri nigah-e-naz se chhuTe hue daraKHt

teri nigah-e-naz se chhute hue darakht
mar jaen kya karen bata sukhe hue darakht

ek dusre ki jaan ke pyase hue hain ab
ek dusre ki chhanw se jalte hue darakht

baisakhiyan banaunga takhti bhi naw bhi
zaea na jaane dunga main tute hue darakht

hairat hai ped nim ke dene lage hain aam
pagla gae hain aap ke chume hue darakht

ab dhup ke nagar mein bade kaam ke hain wo
bekar kah ke ghar se nikale hue darakht

rahi se baat karte hain insan ki tarah
kitne zahin hain tere boe hue darakht


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close