bharosa har kisi ka kho chuke hain

bharosa har kisi ka kho chuke hain
sar-e-bazar ruswa ho chuke ho chuke hain

ghulami kar rahe hain khwahishon ki
dilon ki hukmarani kho chuke hain

tawaqqo hai mohabbat ke samar ki
agarche fasl-e-nafrat bo chuke hain

na rakh in se madad ki aas koi
zamir in sab ke murda ho chuke hain

bhala bahar se kaise saf honge
ye jab andar se maile ho chuke hain

sadaqat bhai-chaara pyar ukhuwwat
ye sab mazi ke qisse ho chuke hain

jahan par kufr hawi ho raha hai
ye lagta hai musalman so chuke hain

najat ab to mile ranj-o-alam se
dukhon ka bojh kafi dho chuke hain

jo maut aae to rahat ho mayassar
pareshan zindagi se ho chuke hain

magar wo sang-dil ab tak na pighla
kai bar us ke aage ro chuke hain

natije mein hum apni ghaflaton ke
waqar ai 'shad' apna kho chuke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close