saya paDte hi zamin ka mah par

saya padte hi zamin ka mah par
chal pade sab dahriyat ki rah par

barha us ko kiya aagah par
dil kisi surat na aaya rah par

ye bhi dekha hai hamari nasl ne
kat gae sar kitne ek afwah par

hain jo asrar-e-zamin se na-balad
tabsira karte hain mehr-o-mah par

reza reza ho gaya rishton ka pul
jo tika tha sirf rasm-o-rah par

hum sukhan-danon ko mal-o-zar se kya
hum to bak jate hain sirf ek wah par

ek ishaara to zara karte kabhi
jaan de dete tumhaari chah par

jitni bazi hai jo shatranj ki
rakh nigahen har ghadi tu shah par

kyon kisi ke aage phailaun main hath
mera iman hai mere allah par

kan koi kyon nahin dharta yahan
'shad' is dil se nikalti aah par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close