bharosa un ke wade par na ai dil ek zara karna

bharosa un ke wade par na ai dil ek zara karna
ki wada sahl hai mushkil hai wade ka wafa karna

jo tum shikwon se darte ho mujhi par ab jafa karna
raqibon ki tarah mujh ko nahin aata gila karna

chadhi hai tewri abru pe bal hai hath mein khanjar
ye kya naqsha hai kya saman hai hai aaj kya karna

uthao sar idhar dekho milen aankhen na sharmao
ye khalwat hai yahan kya sharm mahfil mein haya karna

tumhein aasan hai begana hona aashna ho kar
hamein dushwar hai na-ashna ka aashna karna

kaha jab shama-ru wo bole achchhi qadrdani ki
hamara kaam hai kya rote rahna ya jila karna

buton ki bandagi har-waqt mujh par farz ai zahid
tujhe kul panch waqton mein namazon ka ada karna

nadamat ranjish-e-be-wajh ki dekhi nahin jati
ab iqrar-e-khata karna hai un se aur kya karna

hasinon ko jahan zid aai phir mushkil se milte hain
samajh kar ai dil-e-betab arz-e-muddaa karna

wo kahte hain wafa ki iltija bhi bewafai hai
sawal-e-rahm karna bhi hai dar-parda gila karna

hai apna imtihan lena unhen aae jo turbat par
khiram-e-naz se maqsud hai mahshar bapa karna

abhi hai dur ki sahab-salamat guftugu kaisi
kuchh aasan hai kisi na-ashna ka aashna karna

raqibon ka liya jab imtihan mujh se ye farmaya
wafadar ek tu hai khatm hai tujh par wafa karna

ulajh padte hain aahon par bigad jate hain shewan par
wo kahte hain ye shor-e-hashr mahshar mein bapa karna

hue jame se bahar to nigah-e-shauq khul kheli
mujhe ab farz thahra chhed kar tum ko khafa karna

kaha hai jis tarah main ne qasam hai tujh ko ai qasid
payam-e-shauq ko mere yunhin ja kar ada karna

sifarish jab kare koi to mere nam se nafrat
shikayat ka jo daftar ho use pahron suna karna

'khayal' itni shikayat kya buton ki be-niyazi ki
raha iman salamat chahiye shukr-e-khuda karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close