ek hamin hain dekh le hum ko kya tere pichhe haal hai ji ka

ek hamin hain dekh le hum ko kya tere pichhe haal hai ji ka
hai ye ghalat mashhur jahan mein koi nahin duniya mein kisi ka

surkh hai chehra lal hain aankhen tikhi hai chitwan bigde hain tewar
wajh to kuchh kahiye khafgi ki kya hai sabab is be-mazagi ka

sar mein kisi ki dhun jo samai raat-din apna mashghala thahra
dhundte rahna puchhte phirna khoj lagana us ki gali ka

tana kisi par tanz kisi par jumle hain us par phabti hai us par
aur maze ki baat to ye hai tum ko dawa be-dini ka

fasl-e-chaman mein rup naya hai bagh hai ya indar ki sabha hai
sabze pe aalam sabz-pari ka lale mein jalwa lal-pari ka

gosha-e-khalwat dil ki faraghat josh-e-jawani raat suhani
yar baghal mein hath mein botal aaj maza hai baada-kashi ka

kan-e-namak hain wo lab-e-lalin bosa-e-lab hain shirin shirin
itni malahat phir ye halawat saf maza hai misri dali ka

kahte hain wo kahne ki hai chahat kaun hai aashiq kis ko mohabbat
dosti ab hoti hai gharaz ki hai ye zamana bul-hawasi ka

dekho 'khayal' aaina laga kar kaisi udasi chhai hai munh par
kahte na the hum ishq-o-mohabbat jaan ka ghun hai rog hai ji ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close