bhatak gaya tha hamara jo karwan na mila kahan kahan use dhunda koi nishan na mila jabin-e-shauq thi bechain sajda karne ko jabin-e-shauq ko tera hi aastan na mila fareb-o-jaur-o-sitam tere sah liye hans kar jahan-e-ishq ko hum sa bhi be-zaban na mila ye chand phul sitare nasim-e-subh-e-bahaar tujhe hi dekha manazir mein tu kahan na mila tumhaare shahr mein sab kuchh mila wafa ke siwa hazar dhunda koi yar mehrban na mila hujum-e-dard-o-alam mein hi mubtala paya bichhad ke aap se koi bhi shadman na mila bhari bahaar mein 'shabnam' khizan ka aalam hai ki khar-zar mila hum ko gulsitan na mila