dil ho gaya udas to bahlane aa gae ai shama tere kuche mein parwane aa gae jaib-o-gareban chaak hain daman hai tar tar dasht-e-junun mein shan se diwane aa gae daman hamara aaj bhi kanton se bhar gaya gulshan ke raste mein bhi virane aa gae aate hi rahguzar-e-junun mein maqam-e-hosh diwane ahl-e-hosh ko samjhane aa gae 'shabnam' the ajnabi se hamin un ki bazm mein un ki nazar kahe thi ki begane aa gae