bhatak rahe hain bhatakte rahenge farzane qarib aa gae manzil ke tere diwane bahut qarib the jalwe unhen na pahchane kahan gaya tha shuur-e-nazar khuda jaane zaban pe harf-e-tamanna na aae kya parwa simat ke aa gae nazron mein dil ke virane huzur-e-husn jo aae hain bahr-e-arz murad unhen sunao meri khamushi ke afsane guzar gai meri rudad-e-gham mein raat tamam phir us ke baad na shamen jalin na parwane talash-e-kucha-e-jaanan are maaz-allah khud apni gard mein khoe hue hain diwane 'nasir' un ki samajh mein bhi kuchh nahin aaya jo aa rahe hain mujhe raaz-e-ishq samjhane