jo bu-e-zindagi mujhe kiran kiran se aai hai haqiqatan wo aap hi ke pairahan se aai hai hamare jism o ruh ko surur de gai wahi nasim-e-khush-gawar jo tere badan se aai hai ye kaun shakhs mar gaya ye kis ka hai kafan kaho? ki zindagi ki bu mujhe isi kafan se aai hai tariqat-e-nabard mein hamara silsila hai aur! ye khud-kushi ki rasm-e-bad to kohkan se aai hai kali to phir kali hui mahak uthe hain khar bhi main jaanta hun ye nasim kis chaman se aai hai khule rakhe hain main ne sare rang-o-bu ke raste mere chaman ki ye phaban chaman chaman se aai hai main 'sabir'-e-sukhan-taraaz kyun kisi ko dosh dun ki mere sar pe har bala mere sukhan se aai hai