bhatakte yunhi rahenge kab tak to kya thikana koi nahin hai hamare hissa mein koi basti ya koi sahra koi nahin hai siwa tumhaare sunaen kis ko hum apne dil ki do-chaar baaten siwa tumhaare yahan pe apna hamare maula koi nahin hai tumhaari khatir to hum se behtar bhi bas hamin hain ai shahzadi ki hum se badh kar tumhaara aashiq ya phir diwana koi nahin hai tumhaare jaane pe apne dil ki hasin basti ujad denge o jaan-e-jaanan yahan ke laeq hi aur duja koi nahin hai kisi ke dil mein hamari khwahish kisi ke lab pe hamare bose khuda ke itne bade jahan mein bhi shakhs aisa koi nahin hai yun ja rahe ho zamane-khatir to chhod hum ko ai dost lekin ye dhyan rakhna siwa hamare hamare jaisa koi nahin hai