bura hai haal is darja hamara koi bhi shakhs nain hota hamara hamare darmiyan duniya khadi hai bahut mushkil hai jaan milna hamara rakhi thi le ke copy hum ne us ki khushi se jhum utha basta hamara to kya ye baat bhi kahni padegi tere bin ji nahin lagta hamara tumhein to sach mein aisa lagta hai na kabhi bhi dil nahin dukhta hamara