bhes banae ghum raha hai diwana galiyon galiyon kaun milega dekhen apna begana galiyon galiyon sadkon par pahra deti aankhon se uljhe kaun bhala tum ko aana ho to ab ke aa jaana galiyon galiyon dekho ek din thak jaenge thak ke ruk jaenge qadam wahi subh se sham tumhaara bhatkana galiyon galiyon dil ki manzil thi ki hawas ki gardish thi malum nahin jaane kaun liye phirta tha an-jaana galiyon galiyon ai 'azad' yahi nikla sadiyon ki masafat ka hasil ek udasi ke aalam ka chha jaana galiyon galiyon