jaane kaise honge aansu bahte hain to bahne do bhuli-bisri baat purani kahte hain to kahne do hum banjaron ko na koi bandh saka zanjiron mein aaj yahan kal wahan bhatakte rahte hain to rahne do muflis ki to majburi hai sardi garmi barish kya roti ki khatir sare gham sahte hain to sahne do apne sukh sang mere dukh ko sath kahan le jaoge alag alag wo ek duje se rahte hain to rahne do khun gharibon ka daman mein apne na lagne denge sapnon ke gar mahal hamare dahte hain to dahne do pyar mein un ke sudh-budh kho kar is tarah behaal hue log hamein aashiq aawara kahte hain to kahne do mast magan hum apni dhun mein rahte hain diwanon sa jaane kitne hum ko pagal kahte hain to kahne do