bhige honton ka tasawwur liye sukhe hue hont hijr mein hum liye baithe rahe tarse hue hont bewafai labon ka swad badal deti hai hum na chumenge kisi aur ke chume hue hont ruh tak zaiqe tabdil kiye hain us ne is pe kya chaunken use chum ke mithe hue hont kis qadar pyas ka tadpaya hua hoga wo kitne sukhe hain musawwir ke banae hue hont chum kar us ne hatheli se udaya bosa main ne aankhon pe raqam kar liye udte hue hont ye batate hain samundar zamin ka pyasa hai ye kinaron ki taraf lahr ke aate hue hont raat us moajize ka sab se hasin chehra hai chand hai raat ke chehre pe sajae hue hont