teri mahfil mein dasht-e-be-aman le kar nahin aaya main apne gahre sannate yahan le kar nahin aaya mujhe malum tha raste mein ghar padta hai suraj ka magar phir bhi main sar par saeban le kar nahin aaya na jaane kitni sadiyon tak rahe kitni zabanon par zamin par main adhuri dastan le kar nahin aaya wahin par chhod aaya hun teri pahchan ka lamha tere ghar se teri parchhaiyan le kar nahin aaya mujhe do-gaz zamin hasil nahin bistar bichhane ko use shikwa ki main kyon aasman le kar nahin aaya wahi unche shajar saya nahin dete mujhe 'anjum' main jin ki aas par kaun-o-makan le kar nahin aaya