bhugat raha hun khud apne kiye ka khamyaza tapak raha hai jo aankhon se ye lahu taza kisi ki yaad ke sae ko ham-safar samjha laga sako to laga lo junun ka andaza kise majal ki ab mere dil mein ghar kar le hai garche ab bhi khula apne dil ka darwaza nigar-e-waqt ne har-su kamand dali hai bikhar na jae kahin anjuman ka shiraaza khuda gawah hai un ko bhi de raha hun dua jo kaste rahte hain 'shakir' pe roz aawaza
Please share if you liked this!!!