bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae mutalea meri wahshat ka lazmi kiya jae hum aise log jo aainda o guzishta hain hamare ahd ko maujud se tahi kiya jae khabar mili hai ki us khush-khabar ki aamad hai so ehtimam-e-sukhan aaj multawi kiya jae hamein ab apne nae raste banane hain jo kaam kal hamein karna hai wo abhi kiya jae nahin baid ye ahkaam-e-taza jari hon ki gumbadon se parindon ko ajnabi kiya jae bas ek lamha tere wasl ka mayassar ho aur us visal ke lamhe ko daimi kiya jae