bhuk main amiri ki chiKHti dikha dunga

bhuk main amiri ki chikhti dikha dunga
botalon ke honton par tishnagi dikha dunga

jis ke mulk ki bachchi bhat kahti mar jae
us ke baadshahon ki muflisi dikha dunga

qarz boe kheton mein bhuk kaise ugti hai
ped se latakti har khud-kushi dikha dunga

tere ujle mahlon mein lut kar sajai hai
jhonpadi ke hisse ki raushni dikha dunga

nafraten ki taqriren kitne ghar jala baithin
aag tere chehre se bolti dikha dunga

ilm le ke nikle the dharm sar pe dhote hain
bhatki naujawani ki zindagi dikha dunga

kya hua amawas hai jugnu phir bhi jugnu hai
main unhen andheron mein raushni dikha dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close