bhul gaya KHushki mein rawani

bhul gaya khushki mein rawani
dariya mein tha kitna pani

gunj rahi hai sannate mein
ek sada jaani pahchani

sardi garmi barish patjhad
sari ruten hain aani jaani

yaaden hath chhuda leti hain
ho jati hai baat purani

donon jale bhi donon bujhe bhi
ek hue jab aag aur pani

phir dukh ji ko lag jata hai
sath nahin deti hairani

andhiyaron ki aadi duniya
mange suraj se tabani

ek lamha qadmon se lipat kar
laut gai mauj-e-imkani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close