tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam nazar nazar mein khila gaya hai shararaton ke gulab mausam hum apne gum-gashta walwalon par khunuk hawaon ke qahqahon ka jawab dete jo sath lata hamara ahd-e-shabab mausam wo ek banjar zamin ghar ki jo sun rahi thi sabhi ke tane khusha ki is bar is zamin ko bhi de gaya ek gulab mausam amir logon ki kothiyon tak tere ghazab ki pahunch kahan hai faqat gharibon ke jhonpadon tak hai tera dast-itab mausam ye barf pighlegi chotiyon se paron mein aaegi phir hararat bharenge unchi udan phir hum rahega kab tak kharab mausam