bhul jaane ko hai jahan sara yaad rakhne ko ek khuda hai bahut hai jo pesh-e-nazar pare us se manzar ek aur dilruba hai bahut gunjti aahaten nahin thamtin mere andar koi raha hai bahut gumrahi se hai apni na-waqif raston ko wo jaanta hai bahut meri diwangi jalae charagh raushni gum hai aur hawa hai bahut ye azabon ka silsila kaisa zindagi hi to ek saza hai bahut