bahut arsa gunahgaron mein paighambar nahin rahte ki sang-o-khisht ki basti mein shishagar nahin rahte adhuri har kahani hai yahan zauq-e-tamasha ki kabhi nazren nahin rahtin kabhi manzar nahin rahte bahut mahngi padegi pasbani tum ko ghairat ki jo dastaren bacha lete hain un ke sar nahin rahte mujhe nadim kiya kal raat darwaze ne ye kah kar sharif insan ghar se der tak bahar nahin rahte khud-agahi ki manzil umr-bhar un ko nahin milti jo kucha-gard apni zat ke andar nahin rahte patakh deta hai sahil par samundar murda jismon ko ziyaada der tak andar ke khot andar nahin rahte baja hai zoam suraj ko bhi naz apni tamazat par hamare shahr mein bhi mom ke paikar nahin rahte