bhul jaen hum use aisa nazara to nahin yaad par aata rahe ye bhi gawara to nahin dil dhadakta hai dhadakta hai dhadakta hai mera wo tumhaara wo tumhaara wo tumhaara to nahin aaj-kal patthar utha kar sochta hai har koi samne insan hai lekin hamara to nahin khwab kitne shad hain aur raat bhi aabaad hai jag kar main ne hi khud un ko sanwara to nahin baat badhne ke liye main kis qadar be-tab hon aur badhane ki taraf tera ishaara to nahin haar jaane mein maza hai tum se gar ho samna jitna waise 'alakh' ko nagawara to nahin