bhul jaoge ki rahte the yahan dusre log kal phir aabaad karenge ye mughan dusre log daf bajati hui sahraon se aaegi hawa aur phir honge yahan raqs-kunan dusre log jal-bhunjenge ki hum is raat ke indhan hi to hain khair dekhenge nai raushaniyan dusre log hum ne ye kar-e-junun kar to diya hai aaghaz tod dalenge ye zanjir-e-giran dusre log ye bhi gum-karda zamanon ki zaban bolte hain apne hi log hain ai ham-safaran dusre log tir chalte rahenge hath badalte rahenge gardanen hum to utha lenge nishan dusre log