mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uthae lekin hum ko aaj bhi jhuta pyar na karna aae sail-e-gham-e-duniya ne dil se kya kya naqsh mitae hijr ki raaton mein ab teri shakl bhi yaad na aae tanhai ka sannata aur aati jati raaten teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae tere masumana pyar ki daulat pa kar hum ne akasr naz kiya hai lekin kabhi kabhi pachhtae pyasi kaliyan pani ke qatre qatre ko tarsen aur karam ka baadal dariyaon pe barasta jae