bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya jo pata hum ko bataya tha wo paya na gaya qalam-andaz-e-fana hun meri waqat dekho main hun wo harf-e-mukarrar jo mitaya na gaya is takalluf pe kahan lutf ham-aghoshi ka aap se pahlu-e-taswir mein aaya na gaya wo ada aur thi ye aur hai phir aur sahi be-niyazi se koi rang jamaya na gaya is rukawat mein bhi nairang-e-dil-awezi hai ruth jaane ki hai khubi ki manaya na gaya de diya taq se aaina utha kar un ko haal mujh se dil-e-hairan ka dikhaya na gaya waraq-e-hashr lagaya hai adam ke pichhe jab mera haal khamoshi se jataya na gaya rabt-o-be-rabti-e-anfas se kuchh bhi na hua ye ghubar-e-gham-e-dil tha ki udaya na gaya bekasi-ha-e-tamanna se haya aane lagi teri taswir ko sine se lagaya na gaya dekhna charkh-e-jafa-kar ki majburi ko is tarah hum ko giraya ki uthaya na gaya ai 'wafa' aarzu-e-marg ne ji chhod diya dast-e-ahbab se ab zahr bhi khaya na gaya