piri mein shauq hausla-farsa nahin raha wo dil nahin raha wo zamana nahin raha kya zikr-e-mehr us ki nazar mein hai dil wo khwar shayan-e-jaur-o-zulm dil-ara nahin raha jhagda mita diya but-e-kafir ne din ka ab kuchh khilaf-e-momin-o-tarsa nahin raha ushshaq-o-bul-hawas mein nahin karte wo tamiz wan imtiyaz-e-nek-o-bad asla nahin raha kyun bahr-e-sair aane lage gul-rukhan-e-dahr piri mein dil saza-e-tamasha nahin raha kah do ki qabr-e-nash bhi ki us ki paemal nam-o-nishan-e-ashiq-e-ruswa nahin raha ab tak yahan hai ijz o niyaz o wafa ki dhum wan lutf o iltifat o madara nahin raha kashti baghair dasht-nawardi ho kis tarah ashkon se bahr ho gaya sahra nahin raha masti mein raat wo na khule mujh se ham-nashin kuchh e'tibar-e-nashsha-e-sahba nahin raha kyun jaen phir ke kabe se 'nassakh' dair ko wo sar nahin raha wo sauda nahin raha