bhula hun main aalam ko sarshaar ise kahte hain masti mein nahin ghafil hushyar ise kahte hain gesu ise kahte hain rukhsar ise kahte hain sumbul ise kahte hain gulzar ise kahte hain ek rishta-e-ulfat mein gardan hai hazaron ki tasbih ise kahte hain zunnar ise kahte hain mahshar ka kiya wada yan shakl na dikhlai iqrar ise kahte hain inkar ise kahte hain takraata hun sar apna kya kya dar-e-jaanan se jumbish bhi nahin karti diwar ise kahte hain dil ne shab-e-furqat mein kya sath diya mera munis ise kahte hain gham-khwar ise kahte hain khamosh 'amanat' hai kuchh uf bhi nahin karta kya kya nahin ai pyare aghyar ise kahte hain