kamal-e-husn ka jis se tumhein khazana mila mujhe isi se ye andaz-e-ashiqana mila jabin-e-shauq ko aasudgi nasib hui sar-e-niyaz ko jab tera aastana mila tamam umr sahaaron ki justuju mein raha wo bad-nasib jise tera aasra na mila kami na thi meri duniya mein aashnaon ki sitam to ye hai koi dard-ashna na mila sanam-kadon mein to asnam jalwa-farma the khuda ke ghar mein bhi mujh ko kahin khuda na mila tumhein to apni jafaon ki khub dad mili meri wafaon ka mujh ko koi sila na mila chaman mein rah ke bhi 'atish' khizan-nasibon ko kabhi bahaar ka paigham-e-jaan-faza na mila