bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai mohabbat karne wala is liye barbaad rahta hai agar sone ke pinjde mein bhi rahta hai to qaidi hai parinda to wahi hota hai jo aazad rahta hai chaman mein ghumne phirne ke kuchh aadab hote hain udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rahta hai lipat jati hai sare raston ki yaad bachpan mein jidhar se bhi guzarta hun main rasta yaad rahta hai hamein bhi apne achchhe din abhi tak yaad hain 'rana' har ek insan ko apna zamana yaad rahta hai