bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain ilahi tark-e-ulfat par wo kyunkar yaad aate hain na chhed ai ham-nashin kaifiyat-e-sahba ke afsane sharab-e-be-khudi ke mujh ko saghar yaad aate hain raha karte hain qaid-e-hosh mein ai wae-nakaami wo dasht-e-khud-faramoshi ke chakkar yaad aate hain nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki tujhe to ab wo pahle se bhi badh kar yaad aate hain